Jumma Mubarik Hadees with Islamic Pictures
Rasoolallah (S.A) Ny Farmaya:-
Gunaahon Sy Toaba Krna Aisa Hai Jesy
Us Ny Gunaah Kiya Hi Na Ho.
Hadees e Nabvi:-
Aap (S.A) Ko Jab Koi Mushkil Darpaish Hoti
To Aap (S.A) Foran Nimaz Ki Taraf Mutawajjah Ho Jaty.
Rasoolallah (S.A) Ny Farmaya:
"Tumhary dinon main sab sy ziyada fazeelat wala din
JUMMY ka hai, pas tum us din mujh par
kasrat sy darood bheja kro, is liye keh
tumhara darood mujh par paish kiya jata hai".
Rasoolallah (S.A) Ny Farmaya:
"Jo shakhs musalsal 3 JUMMAA ki Nimaz susti
k sabab chory ga ALLAH TA'ALAA
us k dil par mohar laga dy ga".
Rasool Akram (S.A) Ny Farmaya:
Jo Shakhs Jumaa K Din Mujh Par 200 Martaba
Darood Parhy Ga Us K 200 Saal K Gunaah
Muaaf Kr Diye Jayen Gy.
Rasoolallah (S.A) Ny Farmaya:
Musalmano! ALLAH ny JUMMAA k din ko
tumhary liye EID ka din banaya hai. Jo shakhs
NIMAZ E JUMMAA k liye aaye to usy
chahiye keh ghusal kr ly aor ho saky to khushbu
bhi lagaye, aor MISWAAK ka ahtmaam zrur kry.
Rasoolallah (S.A) Ny Farmaya:
"Jo mujh par aik baar Darood e Paak bhejy aor
woh qabool ho jaye to ALLAH us k
80 bars k gunaah mitaa dy ga".
Interesting article, really. I visit again here to see more. Thank you. Jumma Mubarak
ReplyDelete