Collection Of Urdu Famous Ghazals
Tery Naam Sy Shifaa Ho...
Main Hawa Sy Larr Raha Hun,
Tujhy Kiya Pata Kab Sy...
Yeh Sahar Ki Sazishein Thi,
Yaa Phir Intiqam-E-Shab Tha...
Mujhy Zindagi Ka Sooraj Bhi,
Na Bacha Saka Ghazab Sy...
Tery Naam Sy Shifaa Ho Mujhy,
Koi Zakhm Aisa Ataa Kar Dy...
Agr Mily Kahin Ghalib,
To Usy Adab Sy Yeh Kehna...
Woh Jawaan Rutton Ki Shamein,
Ab Kahan Kho Gai Hain...!!!
Tum To Kehti Ho,
Tumhain Phoolon Sy Muhabbat Hai,
Magr Jab Phool Khilty Hain,
To Inhain Torr Leti Ho...
Tum Kehti Ho,
Tumhain Barish Sy Muhabbat Hai,
Magr Jab Barish Hoti Hai,
To Barish Sy Chhupti Phirti Ho...
Tum Kehti Ho,
Tumhain Hawaaon Sy Muhabbat Hai,
Magr Jab Hawaaein Chalti Hain,
To Khirkiyaan Band Kar Leti Ho...
Main Us Waqt Darr Sa Jata Hun,
Jab Tum Kehti Ho,
Mujhy Tum Sy Muhhabbat Hai...!!!
Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Akely Chorr Jaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty,
Humara Dil Jalaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Kaha Bhi Tha, Yaari Hai, Yaari Hi Rakho Is Ko,
Tamasha Jo Banaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Uthaty Ho Sar-E-Mehfil Falak Tak Humein, Lekin,
Uthaa Kr Jo Giraaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Koi Jo Puch Ly, Kiya Rishta Hai Ab Hum Sy,
To Nazrein Jhukaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...
Bikhar Jayen Andheron Main, Sahara Tum Hi Dety Ho,
Magr Phir Chorr Jaty Ho, Yeh Tum Acha Nahi Krty...!!!
0 comments:
Post a Comment